You are welcome to add like these words with definition and also welcomes to add a better definition for the words already entered here ; Add it in GUEST BOOK,----> please.

SEARCH here

Thursday, January 16, 2014

Dakhni / Hyderabadi mohawray (idioms).; Part- 3

Real and pure Dakhni / Deccani Mohawra (Idiom). 
Matlab hasil karo, mazaa khoob karo.
—————————————————–

Hijre ki kamaaai… Moochoun mein Gawaaiii.
Hijde ki kamaai, moonch mundai mein gayee
Kaan pe ju tak nahain reingna..
Haathi nikal gaya , par dum reh gayee.
Doobte ko tinke ka sahaara hi sahi.
Nangey ki bhukka mara – dono behosh!

Chani ut key badney ko boli chup do moo waley
Koyeley ki dallali mein haat kaley
Chaar aaney ke bandar ku bara aaney ki rassi!
Paanch paanch karna, luk luk bolna
Halte ghar ka bhansaa sahi,,,,,,,Bhagte bhoot ki langoti sahi
Saanp ka bacha sanpola .
Pooriyon ki qushi mein joru ku amma bola.
Jidhar hari udhar chari.
Jooti ki nok pey.
Apni dayi mein anday bachay doosray ki murghi khudak .
laaton kay bhooth baton say nayi maan tay.
Marnay baithain padnay dalo.
Ut ri chanda tujhe ek hi dhanda.
Murgh ki ek taang.
Oont daag liya to makoda bhi liya jal kay mara .
Ultha chor kothwal ko dantay.
Naqqar qanay mein thoti ki awaaz kaun sunta.
Miya biwi raazi to kyaa karega qaazi.
Jjis ki gaaf ka phoda us kuich maloom
Kuttey ku kheer nai pachti
Bandar ke haath mein nariyal
Naach na janey aangan tedaa
Bandar phoda bana ko chhoda
(unhealing wounds due to carelessness)
Goo uth key Gobar ko bola, tere paas se bo aaree
Jab raat lagi ghatney, niyaaz lagi batney
Jab raat lagi ghatney to gaaf lagi phatney
Jaan bachi tou laakhon paaye , laut ke buddhoo ghar ko aaye.
Der aaye Durust aaye.
Seene pe saamp lotna.
Jal ke raakh hona
Baasi kadi mein ubaal aana.
Doobte ko tinke ka sahaara.
Kaala akshar bhains baraabar.
Naak mein dam karna.
Chooo Chooo ka murabbaa
Sitti Pitti gum ho gayeee
Gardan Naapna.
Nau Do Gyarah Hona.
Rafooo Chakkar Hona
Chor pe Mor.
Sadak Naaapna
Kutte ki dum tedi ki tedi.
Saamp bhi mar jaaye aur laathi bhi na toote
Aaam ke aaam ghutlion ke daaam.
Phal khaane se matlab,ya pedh ginney se
Joon tak na reingna.
Ghode pe sawaare rehna.
Faulaad ka jism.
Lohe ke chane chabaana.
Magarmach ke aansooon.
Chappar phaad ke dena.
Khismat ka darwaaza khulna.
Haat ki safaai dikhaaana
Ghaaans na daalna
Bandar kya jaane adrak ka swaad
Nehle pe Dehla.
Hawaa se baatein karna
Doodh ka doodh, paani ka paani.
Doodh ka jala…chaanch bhi phoonk phoonk ke peeta
Phoonk Phoonk ke khadam rakna
——————————————————-
Collected & edited by Shaik Abdul Jabbar

No comments:

Post a Comment