You are welcome to add like these words with definition and also welcomes to add a better definition for the words already entered here ; Add it in GUEST BOOK,----> please.

SEARCH here

Thursday, January 16, 2014

Dakhni / Hyderabadi mohawray (idioms); Part- 4

Real and pure Dakhni / Deccani Mohawra (Idiom). 
Matlab hasil karo, mazaa khoob karo.
—————————————————–

Pet mein bal padhna.
Pet mein chuhe koodna.
Raat gayee baat gayeee
Til Til kar marna.
Jitni chaadar, utne paire phasaarna
Maska maarna
Kutte ki tarah dumm hiilaana.

Hisaab mein ratti ,, bakshish mein hatti.
Gaaf mein dam nahin hai to kavvon ko dawat nai dena
Kavve ku boley to, kavva jakey pahad pey hagaa katey
Girghoot ki dod bad tak,

Aata na jaata tabla bajata -tabley mein tota nana miya rota,
Agla ghira pichla hoshaar
Kutte ku boley to, kutta apni dum ku bola katey
Jhoot ke pair nahin hote.
Naak mein nakel daalo..
Unguly ki nok pe nachaana.
Ishaaron pe naachna.
Geedadh bhabki dena.
Sar mundaate hi Oley Padey.
Phans gayee Razia ghundon mien
Jhoot jhoot bola to sacchey ki gaaf phati katey
Sidi unglee sey ghee nahi nikla to thedi unglee sey nikalna padta
Kanjoosh logon ke uppar hai yeh.
Pet ku mar mar ke paise jama kartey, ya phir idhar udhar moonh maari kartey.
Magar ek aad kharcha aisa aata ke sab jama huva bahar aajata
Thaylee (oil seller) joda dhaar-e-dhaar, Kuppa ludka ek hi baar
Woh dinan gaye jab khaleel khan faaqte udate thay
Bhokne waala kutta kaatta nain
Haathi ke daanth chabaane ke aur dikhaane ke aur
Zillat ki Zindagi se Izzat ki maut achchi
Gaun basa nain luteray aagaye
Mulla ke pet mein shaitaan
Kal ki murghi se aaj ki daal bhali
Sar mundae ke nain ki olay pade
Naadan ki dosti se dana ki dushmani achchi
Wali key pet mein shetaan, Shetaan key pet mein wali, So sunar kiy to ek lohar ki
Baap ek numberi to beta das numberi
Andeh(blind)se marao toh, ghar tak chod kar aao Junglee ko kya maloom Zafraan ki qadar
Kha khuja batti buja
Gadhay ko zafran ki kya qadr
Band ho mutthi to laakh ki .. khul gayee to phir khaakh ki.
Kya pidi kya pidi ka shorba, Hum to udthi chodiye (bird) key par gin letein
Mulla ke Daud Masjid tak
Unglee deeya tho kaan may moot daetay ?
Saree duneeya ek taraf, biwi ka bhai ek taraf
Charminar kay Char poodIyaan
Avva bhi gayI, buvva bhi gayi, pinchey peeney ka chamcha bhi gaya.
waqat na saqat buddhi chadi taqat
Nana kay maal pay dada ki fatiha
Chullu bhar paani main doub maro
Hateli main jannat dikhana
Ab aaya Oont pahaad ke neechay — paraaye maal pe deeday laal
Dalindar darkhaast diya to kacheri barhast
Sob ku ek jagah to chatrey ku char jagah
Jitte zameen ke uppar hai utte zameen ke nicche hai
Dar dar ke kare to ich ghar bhar ke bacche huwe?
Uno aaye tak ujaala hota
Ek darkhast, sob barkhast
Kam pooche to kaam nai, gaaf khujaane ki furst nai
Apne ku aap dusre ku tu
ladhai hone ke baad ghoonsa yaad aaya.
Padhoge likhoge to banoge Nawab… Kheloge kudoge to banogo kharab…
Wokli mein sar rakhney key baad ab mussal se kyaa dar
Besabra murda kafan mein hag liya
Saanp ke moun main chichndar
Thooka to andha hota nigla to marta.
Thooka to andha hota ningla tu kodhi
Jyada Hoshiyari Jaan Ko Khatra
Baat naa baat ki dum
Ab pachtaney se kyaa howey jab chidya chuk gayee khet
——————————-
Collected and edited by S.A.Jabbar,Kozhikode

1 comment:

  1. really enjoyed !
    अमा दखनीलोगाँ बिलाग बी देखो न ।
    हमन काइच हय जी

    ReplyDelete